*Suwal*
4 imaam hai, Lekin hum hanafi kyu hai ? Imaam abu hanifa ko hi kyu follow karte hai hum sab ?  Aur unka bataaya gaya  tareeka kyu ? jabke kai sahabaa ka qaul se aur hadeeso se bhi hum  har tareeka ikhtiyar kar sakte hai, Ghair muqallid kehte hai wo kisi imaam ko nahi mante aur unke imaam rasoolallah Sallalahu Tala Alaihi Wa Sallam hai, To iske mutalluq aap kya kehte hai ?  I am also hanafi, Mufty sahab jawaab inaayath farmaiyye 


*Jawab*

 بسم الله الرحمن الرحيم
IMAM KI TAQLEED KARNA HI HAMARE LIYE SAWAB HAI
WAHABI KE HAZAARO SUWAL KA YE EK WAHID JAWAB HAI

Aksar dekha gaya hai ki wahabi hamari sidhi sadhi awam se chand suwal zyada karti hai, fir in wahabi ki bewaqoofi to dekho ki janta se puchte hai, kabhi alim se puchte hi nahi, goya awam koi mufti ho ?, isse inke kam ilm ka pata chalta hai, fir awam to awam hai, use quran hadis se masale ki dalil kaha de milegi, aur ulama ne apni kitabo me quran hadis ki dalil pesh ki aur baz ne dalil e aqlia bhi di, magar sidhi awam use samjh nahi paati to mujhe zarurat  mehsus hone lagi ki iska jawab aisa diya jaye ki doobara is masale par kalaam kanke ki hajat naa rahe, lihaza ham iska jawab 2 fasl me denge, Jawab 1 me (jawab e aam) is jawab me ham asan tariqe se sunni awam ko taqleed ka jawab batayenge taki wo wahabi ke ghar jaa kar jawab de, jo ki ek khyali munazre ki shakl me hoga,Jawab 2 (jawab e khas) quran se aur kutub se taqleed ki dalil, kyunki wahabi aksar awam hi se puchte hai to pehle jawab e aam pesh kiya jata hai..
Wo bhi masaledar, tez namak ke sath,

Wo kehte the na BARELI KE AHMAD RAZA ki..
Din e Dushman ko RAZA tez namak ki dhun hai...

Jawab e Aam fi Taqleed e Imam-
Kyunki Hindustan me aksar musalman sunni hanafi hain, iska matlab hota hai, ki ham imam e azam abu hanifa ki taqleed karte hai, Taqleed ye hai ki  –”Sharai istilah me taqleed kehte hai kisi ke qaul, fel ko apne liye hujjat man lena aur sharai etbar se khud par lazim janna kyunki mujtahid ki quran o hadis me gehri nazar hoti hai”

Etraz kiya jata hai - ki jab quran o hadis maujod hai to taqleed karna haram or shirk hai.

Jawab diya jata hai - Quran hadis se hukm nikalna har ek ke bas ki bat nahi, lihaza aise shakhs ki bat man li jaye to quran hadis ka zyada ilm rakhta hai, kyunki quran ki har ayat ka wahi matlab nikal liya jaye jo zahir hai to baz surato me kufr ho jata hai, kyunki quran me to “allah ka chehra” allah ka hath” maujood hai, isi tarah hadis me “allah ka hasna” bhi maujood hai to har shakhs iska sahi matlab aur mafhoom nahi nikal sakta lihaza kisi bade imam ki baat man li jaye kyunki quran hadis me inki gehri nazar hoti hai,

Mene ek wahabi se kaha “kya apke ghar me sabhi log quran o hadise khud masale nikal lete hai ?

Wahabi bola - nahi ham apni masjid ke imam se puch lete hai,

Mene kaha – yahi to taqleed hai ki khud nahi dekhte imam se puchte ho

Wahabi bola  - hamara imam qura hadis se batata hai islye uski mante hai

Mene kaha  - imam e azam science ki kitab se nahi batate, wo bhi quran o hadis se batate hai fir ?

Wahabi bola  - magar kisi ki bat ko be-dalil man lena jaiz nahi

Mene kaha  – jab tu apne imam se koi bat puchta hai aur uska jawab aane par maan leta hai ya bukhari khareed kar usme khud chek karta hai, ki sahi bataya ya nahi.

Wahabi bola –jo imam kehta hai man lete hain, fir bukhari me khud nahi talashte

Mene kaha – yahi to taqleed hai ki jo imam kahe man lo, khud talash na karo,kyun imam quran o hadis se hi batata hai

Wahabi bola – ham har cheez quran hadis se lete hai doosri imam ki bat nahi mante,

Mene kaha – jab sab hukm quran hadis me hai to ghar me quran hadis kharid lo imam ke pas jaa kar kafir kyun bante ho, khud kyun nahi dekh lete,

Wahabi bola  - har shakhs ko quran o hadis me itni asni se masala nahi milta isilye imam ki madad lete hain

Mene kaha – yahi to taqleed hai ki imam ki madad lele, har shakhs alim nahi na khud masala nikal sakta

Fir mene kaha, aye wahabi, imam se tu puche, imam par yakin tu kare, kitab chek tu naa kare, imam ki bat be-dekhe man jaye, fir bhi tu mushriq nahi hota jabkiye sari baate hi to taqleed hai, haq to jab tha ki teri khabees qaum ko chahiye tha ki jo masala pasha aye khud bukhari me dhundhe, bacha ho ya aurat khud quran se masala nikal le, kisi imam par bharosa kyun kare, kisi imam se na puche naa uski mane, jab hi tug air mukallid hoga warna tu bhi apne imam ka muqallid ho jayega aur teri qaum bhi, aur mushrik bhi.
(uske bad wahabi par koi jawab na hoga)

Sunni musalman ko jaan lena chahiye ki APKO IMAM E AZAM KI TAQLEED WAJIB HAI, aur AALIM SE MASALA PUCHNA FARZ, jab ap par namaz farz hui apne uska ilm sikha fir roze farz huye to uska ilm sikha aur jab apko zakat farz hui to uska, thik waise hi haram halam ka aur zaruriat e deen ka ilm apne sikha liya, ab raha ILM E MUNAZRA yani kisi badmazhab se behes karke apni baat ko sabit karna, aur ye ilm har musalamn par farz nahi, jab quran kehta hai ki shetan ki baat na suno to aap wahani se sunte hi kyun ho ki huzoor ne kya kiya kya nahi kiya, kya apko sunni alim kafi nahi, kya apko Maslak E Ahmad Raza kafi nahi, agar yahi bas hai, to aapko wahabi ke etraz se pareshan hone ki zarurat nahi

HAR SUWAL KA JAWAB DENA ZARURI NAHI –aaj kal fasion chala hua hai ki jab wahabi koi etraz karta hai to awam us jawab ki tehkik me lag jaati hai, aur bila wajah apna waqt barbad karti aur kabhi gumrah bhi ho jaati hai, baaz chiize ko BINA DALIL MAN LENA THIK HOTA HAI, AUR ISI ME IMAN KI HIFAZAT HAI

IMAM FAKHRUDDIN RAAZI AUR SHAITAN- Quran ki tafsir likhne wale imam, imam fakhruddin raazi ne jab wafa pai to apki qabr me shetan aya or bola ki “allah ek hai aap iski dalil do” apne karib 360 quran se dalil di ki allah Ek hai, magar shetan ne apki har dalil ka radd karke apni dalil di, aap pareshan ho gaye, ye sara manzar apke PEER SAHIB ek darya ke kinare bethe wuzu karte waqt dekh rahe the, jab apne dekha ki mere mureed ki sari 360 dalil shetan ne radd kar di aur shetan ka wahi suwal tha ki “sabit karo allah ek hai” to aapke peer ne use jagah se farmaya, (MAFHOOM) “aye fakhruddin, shetan ko kyun dalil  deta hai ki “allah ek hai” bol kyun nahi deta ke MAIN BAGAIR DALIL HI ALLAH KO EK MANTA HU” or Is tarah apke peer ne apki madad farmai, is waqye se sunni musalman ko ibrat leni chahiye ki wahabi ki har etraz ki dalil mat dhundho, koi kaye Rafa’a yaden ki dalil do, koi kahe taqlid ki dalil do, aap keh do, ham par ulaman ki perwi lazim hai, lihaza hame dalil ki hajat nahi dalil ap alim se lo, fir alim apna kam khud kar dega dalil dena ap logo ka kaam nahi, alim ka kam hai,

LIHAZAT AWAM KO CHAHIYE KI WAHABI KE HAR SUWAL PAR JAWAB NAA DE USE SHETAN JAANE AUR APSE SE DOOR RAKHE, (quran isi ka hukm deta hai ki, jab yad aye to shetan ke pas na betho)

Jawab e Khas fi Hifazat e iman

Din e Dushman ko RAZA tez namak ki dhun hai...

Allah farmata hai, Surah Bani Israil Ayat 71
“jis din ham har jamat ko uske imam ke sath bulayenge”

Is ayat ki tafsir me Mufti Ahmad Yaar Khan NaeemiFarmate hai

Nurooul Irfan fi Tafsir ul Quran me
“is ayat se maloom hua ki duniya me kisi saleh ko apna imam bana lena chahiye, shariat me TAQLEED karke aur tariqat me BEYT karke” taki hashr acho ke sath ho, .. is ayat me bayet muridi taqleed sabka suboot hai”

Aur farmata hai Allah  Quran e Pak me (Surah Nahl Ayat 43)
“to aye logo ilm walo se pucho agar tumhe ilm nahi”

Is ayat ki tafsir me Tafsir Seeratul Jinan Fi Tafseer Ul Quran Jild:5 Safah:321 par hai
“yaad rahe ye ayat e karima taqleed ke jawaz(jaiz hone) balke hukm par bhi dalalat karti hai,”

Imam Jalaluddin Suyuti Shafai Farmate hain-
“is ayat se ulama ne furui masail me aam aadmi ke liye taqleed ke jaiz hone par istadlal farmaya”

Aur Alahazrat Imam e Ishq o Muhabbat Mufti Ahmad Raza Muhaddis e Azam Bareilvi farmate hain

Fatawa Razawiyya Jild:21 Safah:582 par hai
“wujoob e taqleed me nas hai”

Fatawa Razawiyya Jild:27 Safah:644 par hai
“taqleed e shakhsi ko shirk ya haram manne wale, gumrah, aur momino ke raste ke alwa perwi karne wale hain”

ulama ne taqleed karne ko wajib likha hai or naa karne ko haram, or jo taqleed nahi karta shaitan ke raste par hai, or har admi khud quran hadis nahi samjh sakta. Or surah fatiha me allah se har musalman ye dua kart hai, “hame seedha rasta chala rasta unka jin par tune ehsan kiya” ye ayat taqleed ko kafi hai ki charo imam par allah ne ahsan e azeem kiya to ham inhe ke raste par chalne ki dua karte hai.
Allah se dua hai ki, musalman ko khud quran hadis me apni aqal chalane se mehfuz rakhe aur unka rasta chala jin par tune ehsaan kiya, aur fitna e wahabiat se sunniat ko hifazat farma,

Ummid karta hu ye jawab AAM SUNNI ke liye, wahabike hazaro suwalat par kaam ayega,
*والله تعلی اعلم*
…………………………

No comments:

Post a Comment