Kalam Ul Imaam Imaam Ul Kalam Sayyadi Sarkar Ala Hazrat Imaam Ahmed Raza Khan Qadri  Radiallahu Tala Anhu

Chamak Tujhse Paate Hain Sab Paane Waale
Chamak Tujhse Paate Hain Sab Paane Waale

Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Waale


Barasta Nahi Dekh Kar Abr E Rehmat
Badoo(n) Par Bhi Barsa De Barsane Waale


Madine Ke Khitte Khuda Tujhko Rakhhe
Ghareebo Faqeero Ke Thehrane Waale


Tu Zinda Hai WALLAH Tu Zinda Hai WALLAH
Mere Chashme Aalam Se Chup Jaane Waale


Me Mujrim Hu AAQA Mujhe Saath Le Lo
Ke Raste Me Hai Jaa Baja Thane Waale

Haram Ki Zamee(n) Aur Qadam Rakh Ke Chalna
Are Sar Ka Mouqa Hai O Jaane Waale


Chal Uth Zabah Farsa Ho Saaki Ke Dar Par
Dar E Jood Hai Mere Mastane Waale


Tera Khaye Tere Ghulamo Se Uljhe
Hai Munkir Ajab Khaane Gurrane Waale


Rahega Yu Hi Unka Charcha Rahega
Pade Khaaq Ho Jaye Jal Jaane Waale

Ab Aayi Shafa'at Ki Sa'at Ab Aayi
Zara Chain Le Mere Ghabhrane Waale

Raza Nafs Dushman Hai Dumme Na Aana
Kaha Tumne Dekhe Hai Chandrane Waale



No comments:

Post a Comment