Sawal:
[Hazrat janaze ki namaz ka tarika aur niyat kaise karni hai bataye aur namaz-janaze main kya padna chaiye
Mard aur aurat ke janaze ke namaz ki niyat alag alag hoti hai kya
Jawab : Namaze janaza mein teen cheeze sunnate moakkida hain. Allah azza wa jalla ki sana, Nabi sallallaho ta'ala alaihe wasallam par durood, mayyit ke liye dua. Namaze janaza ka tareeqa ye hai ki kaan tak haath utha kar Allahu akber kehta hua haath neeche lay aur naaf ke neeche hasbe dastoor bandh le aur sana padhe yaani
سبحانك اللهم و بحمدك وتبارك اسمك و تعالی جدك و جل ثناؤك ولا اله غيرك
Fir begair haath uthay
Allahu akber kahe aur durood shareef padhe behter wo durood hai jo namaz me padha jaata hai aur koi doosra padha jab bhi harj nahi fir Allaho akber keh kar apne aur mayyit aur tamam momineen aur mominaat ke liye dua kare aur behter ye ki wo dua padhe jo ahadees
mein warid hai aur masoor duay agar achhi tarah padh na sake to jo dua chahe padhe magar wo dua aisi ho ki umoore akhirat se muta'alliq ho. (Bahare shariyat jild 1 hissa 4)
Dua padhne ke baad 4thi takbeer kahe aur uske baad begair koi dua padhe haath khol ker salam pherde salam mein mayyit aur farishto aur hazireene namaz ki niyat kare usi tarah jaise aur namazo ke salam mein ki jati hai yahan itni baat zyada hai ki mayyit ki bhi kare (Bahare shariyat jild 1 hissa 4)
Namaze janaza ki niyat sab ke liye yaksaan hain. Yaani is tarah niyat kare.
Niayat ki maine namaze janaza padhne ki ma'a chaar takbeero ke sana waste Allah azza wa jalla ke durood waste Nabi sallallaho ta'ala alaihe wasallam ke dua waste is mayyit ke mooh mera taraf kaaba shareef ke peechhe is imam ke Allahu akbar
والله تعالی اعلم
✏✏✏✏✏✏✏✏✏
MUHAMMED ASIF RAZA SA'ADI

No comments:
Post a Comment