Isaale Sawab:
Post 1
Is Lafz Ka Maana Hai Sawab Bakshna, Sawab Pohochana Aur Buzurgane Deen Ke Liye Sawab Nazar Karna. Hum Quran Shareef Ki Tilawat Ka Sawab, Sadqat Wa Khairat, Duroodo Salaam, Kalma Shareef Aur Digar Nafli Ibadato Ka Sawab Foutshuda Ko Pohochana Isaale Sawab Kehlata Hai.
Buzurgane Deen Ko Iska Sawab Nazar Karte Hai Bakshna Kehna Beadabi Hai. Hum Sunni Khane Par Quran Shareef Ki Chand Suro Ki Tilawat Karte Hai Uska Sawab Marhumo Ko Bakshte Hai. Aaj Kuch Badmazhab Firqe Logo Ko Isaale Sawab Ko Haraam Bata Kar Gumrah Karte Hai. Aur Yahi Log Gairullah Ka Khaana Shauk Se Khate Hai. Jispe Kalaam-E-Ilaahi Padha Ho Use Haraam Kehte Hai. Mazallah.
Ye Post Me Hum Unke Tamaam Aitrazo Ke Jawabat Quran Wa Hadees Se De Rahe Hai Jisse Ye Khoob Saabit Ho Jayega Ki Isaale Sawab Jaiz Hai Aur Iska Sawab Marhumo Ko Fayda Pohochchata Hai.
Imam Ahmad Raza Khan Aalahazrat Rehmatullah Alaihi Farmate Hai
“Huzoor-E-Akdas Sallallahu Alaihi Wasallam Khwaah Nabi Ya Wali Ko Sawab Bakshna Kehna Beadabi Hai Bakshna Bade Ki Taraf Se Chote
Ko Hota Hai Balki Nazr Karna Ya Hadiya (Tohfa) Kahe."
(Fatawa-E-Razviya Volume : 26, Page : 609)

No comments:
Post a Comment