'Zaroori Hidayaat'
                               Post 5.

5. "Jo Sahab E Maal Hain Zakaat Bhi Dein, Jitne Barson Ki Na Di Ho Fauran Hisaab Karke Ada Karein. Har Saal Ki Zakaat Saal Tamaam Hone Se Pehle De Diya Karein, Saal Tamaam Hone Ke Baad Der Lagana Gunah Hai Lihaza Shuru' Saal Se Rafta-Rafta Dete Rahein, Saal E Tamaam Par Hisab Karein.
Agar Poori Ada Ho Gayi To Behtar Warna Jitni Baaqi Ho Fauran De Dein Aur Agar Kuchh Zyada Nikal Gaya Hai To Woh Aainda Saal Mein Mujra Karlein. ALLAH TA'ALA Kisi Ka Nek Kaam Zaya Nahin Karta"
> {Shajrah E Aaliyah Qadriyah Barkaatiyah Razviyah}

Post Written By
Nabeera E Sarkar Ala Hazrat Shehzade Sarkar Qamarul Aulma Alierrehma Hazrat Maulana Umar Raza Khan Qadri Razvi Noori Maddzillahu Aali.

No comments:

Post a Comment