Wazu Ka Bayan; 【Part~10】

🌕WUZU KI SUNNATEIN

✴Mas'ala

💠Wuzu par sawaab pane ke liye Allah Ta'Ala ka hukm bajaa
lane ki niyat se wuzu karna zaroori hai nhi to wuzu ho jayega sawab nhi hoga,



✴Mas'ala

♻Wuzu BISMMILLAH se shuroo kare aur agar wuzu se pahle istinja kare to istinja karne se pahle bhi BISMILLAH kahe magar pakhana me jane badan kholne se pahle kahe ki najaasat ki jagah me pakhaane me aur badan kholne ke baad ALLAH ka zikr manaa hai,

✴Mas'ala

💠Wuzu shuroo yu kare ki pahle hathon ko gatto tak 3, 3 baar dhoye agar pani bade bartan me ho aur koi chhota bartan bhi nhi ki usme pani uleidh kar hath dhoye to chahiye ki baayein hath ki ungliyaan mila kar sirf ungliyaan pani me daale hatheli ka koi hissa pani me na padhe aur pani nikaal kar daaheena hath gatto tak 3 baar dhoye fir daheeni hath ko jahan tak dhoya hai bina takalluf pani me daal sakta hai aur us se pani nikaal kar bayaa hath dhoye yeh us soorat me ki hath me koi najaasat na lagi ho warna bartan me hath daalna kisi tarah zaiz nhi agar napaak hath pani me daalega to pani napaak ho jayega,

✴Mas'ala

♻Agar chhote bartan me pani hai ya pani to badhe bartan me hai magar wahan koi chhota bartan bhi moujood hai aur usne bedhoye hath pani me daal diya balki unglee ka poraa ya  nakhoon daala to woh sara ka sara pani wuzoo ke qaabil na raha jaisa ki hidaaya, fathul qadir,
aur fatawa qazi kha'n me hai q ki woh pani Mus'amal
(Istemaal kiya hua) ho jata hai,

💠Yeh us waqt hai ki jitna hath pani me pahuncha uska koi hissabedhoola ho warna agar pahle hath dho chuka hai aur uske baad hasad na hua
(Wuzoo tootne ka sabab na paya gaya)

♻To jis qadr hissa dhoola hua ho utna pani me daalne se must'Amal na hoga agarche kohni tak ho balki gair junub (jis par gusl farz na ho yani paak shakhs) ne agar kohni tak hath dho liya to uske baad bagal tak daal sakta hai ki ab uske hath me koi hasad baqi nhi,

💠Haan Junub kuhni se upar utna hi hissa daal sakta hai jitna dho chuka hai ki uske sare badan par hasad hai.
📜Bahare shariat

🎯TO BE CONTINUE

✳ طالِبِ دُعا:-


BAHAR E SHARIAT WRITTER MUSANNIF:(SARKAR SADARUSHARIAH MUFTI AMJAD ALI QADRI RAZVI RADIALLAHU TALA ANHU)

No comments:

Post a Comment