[Part :29 】🌐HAA HUM SUNNI HAI🌐
_______________________________________
🔰Ye naam agarche baad me mash'hoor hua magar haqiqat pehle bhi maujud thi or jo haqiqat pehle maujud ho baad me us haqiqat ka koi or naam pad jaye to pehli haqiqat ko bhi isi naam se hi taabir kiya ja sakta he..
❤ Is par mere paas quran majid ki aayat daleel he, Allah ta'ala ka
surah yunus me farman he..
" YANI TUMHARA RAB WO HE JIS NE AASMAN WA JAMEEN KO 6 DIN ME PAIDA KIYA "
📖 Surah Yunus, Aayat 3
🔰 Ab baat badi qabile gor he ki 6 din tab honge jab din hoga or din tab banta he jab suraj nikle or dube warna din, din nhi hota, din ki ek hadd he or suraj tab hoga jab aasmaan ho or jab aasman bana hi nhi to fir din kahan se aa gya.. Jabki Allah ta'ala farma raha he ki " tumhara rab wo he jis NE 6 dino me aasman or jameen ko paida kiya"
💜Jab jameen aasman paida hi nhi huye the to Allah ta'ala din kis ko kah raha he chunki din suraj se banta he suraj aasman par hota he or aasman abhi paida hi nhi hua lekin Allah ta'ala farmata he ki 6 dino me paida kiya...matlab kya bana.. ????
🔰Is ka Matlab ye bana ki jitna waqt jameen wa aasman ko banane me laga to jis waqt din bane to wo waqt 6 dino me taqsim hua agarche us waqt is ka naam din nhi tha musalsal waqt tha magar jab din wali taarif aa gyi ki din is ko kaha jata hai to usi haqiqat ko din se taabir kar diya.
❤Us waqt agarche is ka naam din nhi tha magar aaj quran us ko din
keh raha hai... Aese hi jo haqiqat sahaba kiram Alaih rizwan me maujud thi agarche us waqt urf e aam me iska naam Ahle Sunnat mash'hoor nhi tha, aaj use hi Ahle Sunnat kaha ja raha hai.
( PART 30 IS TOPIC (MAUZU) PAR AHKRI LAST POST HOGI)
Post Written By :-
✍ ABDUL KHALIQUE BHAI
No comments:
Post a Comment