【Part :21 】🌐HAA HUM SUNNI HAI🌐
_______________________________________
💟 Yahan ek baat sufiyah k lihaz se bhi bayan karna chahta hun... Hazrat Gaus e Aazam رضی اللّه تعالیٰ عنہ se badh kar sufi kon hoga, aap se bada wali kon hoga, aap ne khud farmaya..
" NIJAAT WALO KA NAAM AHLE SUNNAT WAL JAMAAT HE "
📖 Gunyatul Talibin, 121
💖 Ye naam Gaus e Aazam رضی اللّه تعالیٰ عنہ ne zaruri samjha agar
ye naam jayz na hota to Hazrat Gaus e Aazam رضی اللّه تعالیٰ عنہ kyun lete agar iska istemaal qabee'h hota, quran o sunnat k khilaf hota to Gaus e Paak رضی اللّه تعالیٰ عنہ kyun aesa karte. Unhone kaha ki nijaat wale AHLE SUNNAT WAL JAMAAT he..
🔰 Khitta paak o hind me sajdo k beej bone wale Hazrat Data Ganj Baksh رضی اللّه تعالیٰ عنہ apni kitab Kashful m'ahjoob me, jis waqt imaan ka mas'ala bayan karte he ki imaan tasdeeq e qalbi ka naam hota he juban se iqraar kiya jata he, iska bayan karte huye farmane lage..
" YE SARE AHLE SUNNAT WAL JAMAAT KA ITTEFAAQI AQEEDAH HE "
❤ Hazrat Data Ganj Baksh رضی اللّه تعالیٰ عنہ ko jis titel ki zarurat he hum us se be niyaz kese ho sakte he Aap agar apne aap ko AHLE SUNNAT kehalwaye to wo kisi tarah tanga nazar nhi to hum kese honge, wo jis raste par chal kar wali bane he or jannati he hum ne to usi raste ko AHLE SUNNAT WAL JAMAAT samjha he..
Post Written By :-
✍ ABDUL KHALIQUE BHAI
No comments:
Post a Comment