【Part :15 】🌐HAA HUM SUNNI HAI🌐
______________________________________
💟 Dono lafz Hazrat Abdullah Bin Umar رضی اللّه تعالیٰ عنہ ne bol diye he ki mai in se bari hun wo mujh se bari he... Jis waqt aap ne ye lafz bole to sath hi farmaya...
🔰 " WO BAAT JO MAI HALFIYA KEH SAKTA HUN WO YE HE AGAR IN QADRIYON (قدریوں) ME SE EK BANDE K PAAS UHAD PAHAD JITNA SONA HO OR FIR WO IS KO ALLAH KI RAAH ME KHARCH KARE TO ALLAH TA'ALA IS SE QUBUL NHI KAREGA YAHAN
TAK KI WO QADR KO MAAN LE "
💝 Yani aap farmate he ki agar wo taqdeer k mas'ale k auz me uhad pahad jitna sona bhi le kar aa jaye to Allah ta'ala is k us uhad pahad jitne sone ko qubul nhi karega yahan tak ki wo taqdeer par imaan le aaye
🔰 Kyun?? Is waste ki unhone zaruriyat e deen me se ek ka inkar kar diya.. Zaruriyat e deen me se jab koi ek ka bhi inkar kar de to baqi sari chhije manfi ho jati he ek bandah din me hajar sajdeh rab ko kare or sham ko ek sajdah but ko kar de to kya hajar ka koi fayedah rah jayega?? Sab kuch khatam ho jayega, pani fir jayega
💟 Aese hi jis ne usool e deen me se kisi ek ka bhi inkar kar diya to uska deen, deen nhi he... Hazrat Abdullah Bin Umar رضی اللّه عنہ ne us waqt in se barat ka elan kar diya ki un se hamara koi ta'aluq nhi he
☀ Is anqata'a ta'aluq ko jis waqt logon me raayez kiya gya to wahan se haq walo ne apne aap ko AHLE SUNNAT WAL JAMAAT kehalwana shuru kar diya..
🔃To Be Continue . . .»» ______________________________
√ Post Written By :-
✍ ABDUL KHALIQUE BHAI
No comments:
Post a Comment